jo dost diyaa ban ke ujalaa sada karen
unko khudaya pyaar ki daulat ata karen
kadmon ko choomti rahen har lamha manzilen
kuch is tarah ki raah sabhi ko dikha karen
khilte rahen unke chaman mein har kism ke phool
daaman ko unke khushbuen aake bhara karen
humraaz ki dua ka asar ek din hoga
mil jul ke aao hum sabhi esi dua karen
Happy Friendship’s Day to all my friends….